Saturday, 16 May 2020

Manjil ki chah

Kal bhi main hairan tha
Kal bhi main pareshan tha
Aabo daane ki talash
Ghonsale ke tinko ki firaak

Kuch rasto ki kahaniya sunta raha
Bunta chala

Kuch dagar jo bha gayi unpe mudta chala
Kuch seekhta kahin kisi se
Kuch raha sabko sikhata

Chahto ki jholi liye main tinke raha batorte
Kuch seekh usme sil liye
Kuch kisse usme rakh liye 

Par jholi thi thodi badi , kisi aisi manzil ki talash
Jo sabko paani pila sake alawa bhare khud ki pyaas.

Thamke jab sone chala to jhola jo tha paas
Rakh sihaane leta jab ,ek seekh thi chubhi muje.

Padh usko saans bhari
Sheetal jal se tab pyaas bujhi aur
Sun jangle ka madhurim sangeet
Apno ka prem laga sarvpreet
Samjha tab manzil ka ye chhal geet ke

Prakriti sabko deti hai koi kahi chale ya kahi ruke

Manzilo ko paane ko sab rahe the bhatak
Par
Manjilo ko paane waale bhi kya manzilo ko paa sake

No comments:

Post a Comment